Monday 20 February 2012

Charag.on ka Regist.an

Safar andhero mein karne ka aalam kuch aur hai..

Ho thodi roshni toh ujaala har ore hai..

Din mein jalaye sau diye hum..

Per andhero mein ek diye se kum hai..

Banke andhere ka diya tu jiye jaa

Roshan jahan har ore kiye jaa..

Ban ke chal umeed ki woh kiran..

Raat ke andhere, din ke ujaalo mein roshan ho

Koi aisa jadoo tu kiye jaa..



Mile wajood(sila) tumhe apne karam ka..

Kuch aisa karam tu kiye jaa..

Bane hai jis mitti se, uss mitti mein shaamil ho aise..

Banke rakh bhi tu yaado.n mein bahe jaa

Banake apni ek nai gardish

Uss ka banke sitara, tu damke ja..

Safal ho barso se chupi uss maa ki aas

Roshan usko bhi khud ke sath tu kiye jaa..

Banke andhere ka diya, tu jeeye jaa..



Rok na paye aandhi koi kabhi..

Toofa.n aisa ban ke tu takraaye jaa

Mushkilo.n se ho.nsla badha ke..

Apne path per tu age badhe jaa

Koi mod na mudke aye..

Aise kadam tu rak-khe jaa..

Bulandio se haasil kar har aarzoo..

Zamane ke liye justazoo jaga ke tu jiye ja..

Banke andhere ka diya tu jiye jaa..