Monday 31 October 2011

Akhri Lamhe


Jee raha hun Akhri Sans, ek aur Zindagi jeena chahoo
Kai hai geele ki, kar na sakte jo karne ki hai arzoo
Apne logo se bichhad ne kaa ehsaas hame rulaye
Ruh Kanpe yeh soch kar jana hai, apno se dur
Kehna chahu bahut kuch sabko, par zaban ladkhadaye
Mafi mangna chahu har uss shakh se, jin ke dil hum ne dukhaye
Dhere hai logo ke, per akela khud ko pau
Jana hai uss manzil hame akele, aaj yeh mehsus kar pau
Honsla sab ko bhale hi mein dun, per Kamzor mein khud ko pau
Jee raha hun Akhri Sans, ek aur Zindagi jeena chahoo

Yaad aye Maa ka dular, yaad aye apno ka pyar
Yaron ki dosti chutegi, jab yeh Sanse tutegi
Rakh na chahu sab ko mere hi paas
Uth rahe hai mauje Dariya-ee dil mein, milta nahi sukun kisi ke paas
Kaat raha hun har pal, har janm ki tarah
Sochta rehta hun Shayaro ki tarah
Jane kis karm ki mili saza, maut is kadar dekhne pau
Jee raha hun Akhri Sans, ek aur Zindagi jeena chahoo

Janaze to kitne hi nikle, aaj apne janaze ko mehsus karta jau
Thami Sans se yehi umeed karu, ki badal jaye yeh vakht
Tham jaye yeh vakht, aage safar na kar pau
Lagta hai darr ankh michane mein, ki kahin Duniya dekh na pau 
Panne palat dekhu zindagi ke, kanhi koi adhura chod na jau
Apne paraye ke bhed aab samaj ke, mann mein afsos karta jau
Har raat yeh saochu kal layega naya savera, tute honslon ko batorta jau
Per har subah mayusi layi, bas usi mein dubta jau
Jee raha hun Akhri Sans, ek aur Zindagi jeena chahoo

Samaj na sake koi dard mera, jo sirf ankhon se bayan karta jau
Muh bholi bas ek beti hai jiska chehra mein dekhna chahu
Lagti hai bebas Zindagi, sahar kisi ka na lena chahu
Hosake mujhse jitna, us-se kai jyada karna chahu
Takiye tale sar rakh ke, rote mann ko kehna chahu
Na hai hamare bas mein kuch, yahi tumhe samjana chahu
Marte ko akhri salam dene sab aate, un sab ko rokna chahu
Lahu ke har Katre ko Mehsoos kar pau, har dhadkan ko karib se mein iskadar jan pau
Halat itne badal jayege yeh mein khud samaj na pau
Jee raha hun Akhri Sans, ek aur Zindagi jeena chahoo

Ghadi ko baar baar dekh yahi maloom kar pau
Kitni zindagi hai door, usse mein maap na pau
Juj rahi yeh jaan uss parinde ki tarah
Jana chahta woh door mukt hava ki tarah
Antar hai hum mein bas itna, khush hai woh mukt gagan mein
Per prashna an-ginat hai mere mann mein
Janta na koi kya hota uss paar, Koi umeed nahi mere mukt gagan mein
Ghana jungle registan sa lage, nadiyan jese sukha lage
Shital chau mein chubhan si lage, shant man mein kampan lage
Jee raha hun Akhri Sans, ek aur Zindagi jeena chahoo

Sab jate hai ek din usse koi badal na paye
Bin bataye bulave jo aye, wohi lagta sukun laye
Apni maut ko jeene se behtar  bin bataye hi aye
Chahe kitna hi bata pyaar uske badle mein na kuch paye
Dukhi hua mann kitna na kisi ko batla paye
Andhero mein kho jana hai is khayal se bhagna yeh dil chahe
Roshni ki chadar odhe ham chain lena chahe
Kafan kharid ke rakha hai hamne apna
Bharosa nahi hai kisi ka, iss liye hum khud apne hi kaam aye
Jee raha hun Akhri Sans, ek aur Zindagi jeena chahoo
Jee raha hun Akhri pal, jeevan ki tarah, ek aur Zindagi jeena chahoo, parindo ki tarah

1 comment:

  1. Aakhri Lamhe is simply superb. The mincing of words is fantabulous. I love each and every word of it.. Looking forward for more.

    ReplyDelete